wo zaiqa bhi ajab sidq-e-nagawar mein tha

By qutub-sarsharOctober 25, 2023
wo zaiqa bhi 'ajab sidq-e-nagawar mein tha
ghubar sa koi mafhum harf-e-zar mein tha
na tu sharik-e-‘adawat tha aur na pyar mein tha
tera yaqin tijarat mein karobar mein tha


bulandiyon se gira bhi to khush-gawar laga
mere zawal ka uslub aabshaar mein tha
kise dimagh ki tohmat junun ki sar leta
ki jab khumar-e-ana zauq-e-ishtihaar mein tha


kise sunaen karahen sisakte sayon ki
sama'aton ka khuda shor ke hisar mein tha
'ajib dhund hai phaili hui jidhar dekho
thithak ke apni jagah har koi dayar mein tha


ghazal ke she'r ki manind tha sukhan us ka
kamal-e-ramz-e-sukhan tarz-e-ikhtisar mein tha
hai zakhm zakhm lahu-ashna badan sara
ye chakrwyuh to yaron ke e'tibar mein tha


main us ke sath hi ho jata kaise mumkin tha
wo laut aata kahan us ke ikhtiyar mein tha
sharik-e-waqi'a karta hai apne qari ko
'ajab kamal-e-hunar waqi'a-nigar mein tha


qayamaten kai mujh par guzar gain 'sarshaar'
main khush-guman karam hi ke intizar mein tha
75383 viewsghazalEnglish