wo zakhm phir se hara hai nishan na tha jis ka hui hai raat wo barish guman na tha jis ka hawaen khud use sahil pe la ke chhod gain wo ek naw koi baadban na tha jis ka kashid karta raha hijraton se dard ki mai koi to tha ki kahin ham-zaban na tha jis ka isi ke dam se thi raunaq tamam basti mein ki khanda-lab tha magar gham ayan na tha jis ka jali to yun ki hua rakh ang ang mera ajib aag thi koi dhuan na tha jis ka