wo zard chehra moattar nigah jaisa tha

By majid-ul-baqriNovember 4, 2020
wo zard chehra moattar nigah jaisa tha
hawa ka rup tha bolo to aah jaisa tha
alil waqt ki poshak tha bukhar us ka
wo ek jism tha lekin karah jaisa tha


bhatak raha tha andhere mein dard ka dariya
wo ek raat ka jugnu tha rah jaisa tha
gali ke mod pe thahra hua tha ek saya
libas chup ka badan par nibah jaisa tha


chala to sae ke manind sath sath chala
ruka to mere liye mahr-o-mah jaisa tha
qarib dekh ke us ko ye baat kis se kahun
khayal dil mein jo aaya gunah jaisa tha


bahut si baaton mein majbur tha wo hum se bhi
takallufat mein aalam-panah jaisa tha
khabar ke udte hi yunhi ki mar gaya 'majid'
purane ghar ka saman jashn-gah jaisa tha


17746 viewsghazalEnglish