wo zindagi mere nazdik zindagi na hui

wo zindagi mere nazdik zindagi na hui
tamam umr mayassar jise khushi na hui

hawas-parast nigahon ne chashm-e-saqi se
hazar jam piye dur tishnagi na hui

dikhae ahl-e-siyasat ne sabz bagh magar
khizan nasib bahaaron mein tazgi na hui

hawa ke rukh ko jo pahchanne se qasir ho
mere khayal mein wo chashm-e-agahi na hui

zamana lakh mukhalif raha ba-faiz-e-talab
hamare zauq-e-tajassus mein kuchh kami na hui

adu se tu ne taawun to kar liya lekin
kabhi junun se khirad teri dosti na hui

jo bantta tha zamane ko raushni kal tak
usi ke ghar mein 'sahar' aaj raushni na hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close