wufur-e-dard ko ehsas hai main jaane wala hun

By shahid-zakiMay 8, 2022
wufur-e-dard ko ehsas hai main jaane wala hun
bahut kam waqt mere pas hai main jaane wala hun
kaha jo tha ki tere baad duniya mein nahin rahna
mujhe apne kahe ka pas hai main jaane wala hun


mabaada mere jaane tak wo chashma khushk ho jae
mujhe aab-e-abad ki pyas hai main jaane wala hun
agar main sans lene ko rukun to rizq rukta hai
mujhe hijrat musalsal ras hai main jaane wala hun


wo meri khalwat-e-paiham to meri baadshahat hai
talluq aarzi ban-bas hai main jaane wala hun
girai ja rahi hain yun bhi diwaren duaon ki
mere ahbab ko wishwas hai main jaane wala hun


zabani yaad kar lo phir ye khal-o-khat nahin honge
qarib-e-shoalagi qirtas hai main jaane wala hun
ye saman bhi sambhaalo tum ye ehsan bhi utha lo tum
yahi jo mohlat-e-anfas hai main jaane wala hun


dar-o-diwar ki haalat se andaza laga lije
kahin jale kahin par ghas hai main jaane wala hun
bas ab main aur karb-e-kashmakash mein rah nahin sakta
yahan har aas mein ek yas hai main jaane wala hun


akela hai koi meri tarah aflak par shahid
use meri azal se aas hai main jaane wala hun
45978 viewsghazalEnglish