yaad aa kar hijr mein taDpa gai achchha hua

yaad aa kar hijr mein tadpa gai achchha hua
ye bhi aani thi musibat aa gai achchha hua

jaur par un ko hamein apni wafa par naz tha
baat badh kar imtihan tak aa gai achchha hua

dil ko hum taskin kya dete wo kis ki manta
wo nazar khud us ko kuchh samjha gai achchha hua

phul ban kar bhi na mil sakti thi umr-e-jawedan
bin khile dil ki kali murjha gai achchha hua

chaar tinkon ke siwa kuchh aashiyane mein na tha
barq ab kunj-e-qafas tak aa gai achchha hua

har khushi ke sath wabasta the ranj-o-fikr bhi
jald un se zindagi ukta gai achchha hua

tark-e-duniya hai 'shifa' apna maqam-e-zindagi
chaar din duniya hamein bahla gai achchha hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close