yaad aai hai teri sakht maqam aaya hai dil ke sahra mein ye waqt-e-sar-e-sham aaya hai ek nae rang mein aaj un ka payam aaya hai aarzuon ke liye nam-ba-nam aaya hai jaan-ba-lab shauq ke sajde bhi tadap uthe hain un ke andaz-e-taghaful ko salam aaya hai mere gham-khana ke andoh khamoshi ka harif kaisi begana mizaji ka kalam aaya hai hil rahi hai mere zindan-e-junun ki diwar phir tasawwur mein tera jalwa-e-baam aaya hai anjuman-saz hai ye raaz-e-mohabbat ai dost zikr jab aaya tera bar-sar-e-am aaya hai dil-e-betab ki hasrat ne bikhere sajde majlis-e-ghair mein bhi tera jo nam aaya hai chashm-e-saqi mein jhalakti hai meri laghzish-e-shauq kanpte hath se lab tak abhi jam aaya hai aql ko josh-e-junun dar-o-rasan tak laya aql walon ke kabhi hosh bhi kaam aaya hai teri sarkar mein 'akhtar' ki duaen giryan dil ka kashkol liye tera ghulam aaya hai