yaad-e-rafta tera gham manane ke hum

yaad-e-rafta tera gham manane ke hum
rah gae sirf par phadphadane ke hum

muddaton ahd-e-nau se ulajhte rahe
is jahan mein purane zamane ke hum

aadmi jis mein insan banae gae
kash hote usi kar-khane ke hum

aansuon kuchh bhi mushkil nahin zabt-e-gham
tum ko lekin nahin aazmane ke hum

bhulne ki taraf hai zamane ki rau
ab kisi ko nahin yaad aane ke hum

yani 'azad' dil hi dikha na sake
yani mujrim hain bas muskurane ke hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close