yaad mein teri jag jag ke hum raat bhar karwaten badalte hain har ghadi dil mein teri ulfat ke dhime dhime charagh jalte hain jab se tu ne nigah pheri hai din hai suna to raat andheri hai chand bhi ab nazar nahin aata ab sitare bhi kam nikalte hain lut gai wo bahaar ki mahfil chhut gai hum se pyar ki manzil zindagi ki udas rahon mein teri yaadon ke sath chalte hain tujh ko pa kar hamein bahaar mili tujh se chhut kar magar ye baat khuli baghban hi chaman ke phulon ko apne pairon se khud masalte hain kya kahen tujh se kyon hui duri hum samajhte hain apni majburi tujh ko ma'lum kya ki tere liye dil ke gham aansuon mein dhalte hain