yaadash-ba-KHair saya-fagan ghar hi aur tha

yaadash-ba-khair saya-fagan ghar hi aur tha
lauta musafirat se to manzar hi aur tha

dekha ajib rabt anasir ke darmiyan
badla jo aasman to samundar hi aur tha

phir yun hua ki apne hi mehwar se hat gai
warna to is zamin ka muqaddar hi aur tha

wo yun laga hai turra-o-dastar ke baghair
jaise miyan-e-dosh wahan sar hi aur tha

wo naunihaal jis ki numu hai mera lahu
nikla jo mere qad se to paikar hi aur tha

asbab-o-zad-e-rah tale dafan ho gaya
pahne tha jo bagule wo lashkar hi aur tha

mamnun-e-iltifat-e-tawajjoh raha hai jo
ek shakhs baitha mere barabar hi aur tha

'mazhar' ko puchhte ho to bas itna jaan lo
bite hue dinon ka wo 'mazhar' hi aur tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close