yaadon ka ek dipak dil mein baiTh ke roz jalata hun

By ahmad-muneebDecember 29, 2020
yaadon ka ek dipak dil mein baith ke roz jalata hun
dekh ke teri taswiron ko rota hansta gata hun
momin aisa hun ki pahle jam pe jam lagata hun
ja ke phir sajde mein rab ko apna haal sunata hun


hijr ne tere haalat meri aisi kar di hai ke ab
do din soya rahta hun aur do din kaam pe jata hun
dariya suraj chand sitare qaus-o-quzah sab apni jagah
lekin wo ek lamha jab main tujh se hath milata hun


aadhi shab ka sannata hai us mein jugnu aur ek jhil
aise manzar dekh ke aksar khud mein gum ho jata hun
ishq wahi sachcha hai jis mein manzil ki tamsil na ho
aise waise jumle kah kar khud ko main bahlata hun


68977 viewsghazalEnglish