yaadon ka jazira shab-e-tanhai mein masruf hai yaadon ki pazirai mein ab bhi wahi izhaar-e-taghaful ka mizaj ab bhi wahi andesha shanasai mein isbaat nafi ho ki nafi ho isbaat kyun jaun main alfaz ki gahrai mein kuchh log to manzil ki khabar bhi le aae hum mast rahe lazzat-e-khud-rai mein chhodun bhi khayal un ka to kya hasil ho kya khak kami aaegi ruswai mein aane mein masiha ko tha pahle hi hijab naseh bhi tha andesha-e-ruswai mein tafriq ke khugar to sabhi ek hue masruf hain hum log saf-arai mein kis darja masarrat hai ki ab khun-e-'shahid' kaam aaya teri anjuman-arai mein