yaadon ki gunj zehn se bahar nikaliye gumbad na chikh utthe koi dar nikaliye khul jaiye baraste hue abr ki tarah jo chiz dil mein hai use bahar nikaliye ban kar dikhaiye kisi bahzad ka jawab patthar tarash kar koi paikar nikaliye rakhiye shanawari ka bharam kuchh na kuchh zarur moti na hath aae to patthar nikaliye manzur hai ghurur-e-khizan ki agar shikast gulshan se rang-o-nur ke lashkar nikaliye qadir hai bahr-o-bar pe jo insan to aap bhi khat khinch kar zamin se samundar nikaliye rakhiye ba-azm-e-khas rah-e-zist mein qadam manzil badi kathin hai magar dar nikaliye dushman bhi tir jod ke baitha hai ghat mein khandaq se dekh-bhaal ke ab sar nikaliye phir dost ko lagaiye dil se ba-sad-khulus phir apni aastin se khanjar nikaliye phir chha rahi hai dajla-e-mahtab par ghata is tirgi se phir koi manzar nikaliye jo ho sake to waqt ki zanjir tod kar sham-o-sahar ka panw se chakkar nikaliye 'zulfi' gali mein aaj bahut tez hai hawa is kaghzi-badan ko na bahar nikaliye