yahan dimagh kahan main chalane aata hun

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
yahan dimagh kahan main chalane aata hun
yahan to bas teri baaton mein aane aata hun
mera mazaq uda kar tujhe jo milti hai
usi khushi pe yahan muskurane aata hun


zamane pahle jise dubna tha dub gaya
na jaane ab yahan kis ko bachane aata hun
ab us ka ghar to ziyarat-kada hai mere liye
salam kar ke kahin aur jaane aata hun


ye dubta hua suraj to ek bahana hai
main ek nadi ko samundar dikhane aata hun
hadaf to aur koi hai magar tumhaare pas
zara nishane ko behtar banane aata hun


haqiqaton pe jhagadne ke din gae 'shaariq'
ab us ke jhuth pe tali bajaane aata hun
20595 viewsghazalEnglish