yahan ek mojiza ho jaega kya
By abid-razaFebruary 17, 2025
yahan ek mo'jiza ho jaega kya
ye jangal phir hara ho jaega kya
agar main aap ki 'ainak laga lun
to ye manzar naya ho jaega kya
ghadi bhar mein nai duniya basa dun
ye sab be-sakhta ho jaega kya
dahakta hai ye suraj kab se aakhir
bujhega to siyah ho jaega kya
agar hum sans lena band kar den
to auron ka bhala ho jaega kya
ukhadti hon jahan yaadon ki sansen
ab itna fasla ho jaega kya
anal-haq ki sadaen puchhti hain
ye sar tan se juda ho jaega kya
sitare rasta roke khade hain
koi dam hadisa ho jaega kya
ye qaziya le to jaen aasman par
wahan kuchh faisla ho jaega kya
junun mein kah gae hum aaj kya kuchh
magar jo kah diya ho jaega kya
ye jangal phir hara ho jaega kya
agar main aap ki 'ainak laga lun
to ye manzar naya ho jaega kya
ghadi bhar mein nai duniya basa dun
ye sab be-sakhta ho jaega kya
dahakta hai ye suraj kab se aakhir
bujhega to siyah ho jaega kya
agar hum sans lena band kar den
to auron ka bhala ho jaega kya
ukhadti hon jahan yaadon ki sansen
ab itna fasla ho jaega kya
anal-haq ki sadaen puchhti hain
ye sar tan se juda ho jaega kya
sitare rasta roke khade hain
koi dam hadisa ho jaega kya
ye qaziya le to jaen aasman par
wahan kuchh faisla ho jaega kya
junun mein kah gae hum aaj kya kuchh
magar jo kah diya ho jaega kya
56802 viewsghazal • English