yahan ho rahin hain wahan ho rahin hain

By alok-yadavOctober 24, 2020
yahan ho rahin hain wahan ho rahin hain
nihan thin jo baaten ayan ho rahin hain
irade hamare duaen tumhaari
hawaen hi khud baadban ho rahin hain


lutai kisi ne jawani watan pe
dishaen bhi shahnaiyan ho rahin hain
kai aasman aa gire hain zamin par
zaminen kai aasman ho rahin hain


raqibon talak kaise pahunchi wo baaten
jo tere mere darmiyan ho rahin hain
koi phul dewi ke charnon tak aaya
kahin muntashir pattiyan ho rahin hain


97938 viewsghazalEnglish