yahan mausam bhi badlen to nazare ek jaise hain hamare roz-o-shab sare ke sare ek jaise hain hamein har aane wala zakhm-e-taza de ke jata hai hamare chand suraj aur sitare ek jaise hain khudaya tere dam se apna ghar ab tak salamat hai wagarna dost aur dushman hamare ek jaise hain kahin gar farq niklega to bas shiddat ka kuchh warna yahan par gham hamare aur tumhaare ek jaise hain main kis ummid pe daman kisi ka tham lun 'akhtar' ki sab se dosti mein ab khasare ek jaise hain