yahan takrar-e-saat ke siwa kya rah gaya hai musalsal ek haalat ke siwa kya rah gaya hai tumhein fursat ho duniya se to hum se aa ke milna hamare pas fursat ke siwa kya rah gaya hai bahut mumkin hai kuchh din mein use hum tark kar den tumhaara qurb aadat ke siwa kya rah gaya hai bahut nadim kiya tha hum ne ek shirin-sukhan ko so ab khud par nadamat ke siwa kya rah gaya hai hamara ishq bhi ab mand hai jaise ki tum ho to ye sauda riayat ke siwa kya rah gaya hai kahan le jaen ai dil hum teri wusat-pasandi ki ab duniya mein wusat ke siwa kya rah gaya hai salamat hai koi khwahish na koi yaad zinda bata ai sham wahshat ke siwa kya rah gaya hai kisi aahat mein aahat ke siwa kuchh bhi nahin ab kisi surat mein surat ke siwa kya rah gaya hai bahut lamba safar tai ho chuka hai zehn o dil ka tumhaara gham alamat ke siwa kya rah gaya hai aziyyat thi magar lazzat bhi kuchh is se siwa thi aziyyat hai aziyyat ke siwa kya rah gaya hai hamare darmiyan sari hi baaten ho chuki hain so ab in ki wazahat ke siwa kya rah gaya hai baja kahte ho tum honi to ho kar hi rahegi to hone ko qayamat ke siwa kya rah gaya hai shumar o be-shumari ke taraddud se guzar kar maal-e-ishq-e-wahdat ke siwa kya rah gaya hai