yahan to paun sadi se yahi kahani hai
By umair-ali-anjumJanuary 5, 2024
yahan to paun sadi se yahi kahani hai
usul mar gae taqat ki hukmrani hai
jo un ki baat na mane mita diya jae
hukumaton ki ye 'adat bahut purani hai
kisi yazid ki bai'at jo main nahin karta
meri ana mere ajdad ki nishani hai
bhare hue hain hamare badan baghawat se
ragon mein apne miyan khun hai na pani hai
hai mo'jiza ki lutere hain chaar-su phir bhi
hamara shahr mohabbat ki rajdhani hai
nahin hai 'aql se apni mukhalifat lekin
'umair' hum ne hamesha se dil ki mani hai

48492 viewsghazal • English