yahan yun hi nahin pohncha hun main

By fahmi-badayuniFebruary 6, 2024
yahan yun hi nahin pohncha hun main
musalsal raat din dauda hun main
teri zanjir ka hissa hun main
riha ho bhi nahin sakta hun main


tumhaari ot mein jitna hun main
bas utna hi nazar aata hun main
tumhaare samne baitha hun main
yahi to soch kar zinda hun main


daraata hai khuda se jab koi
khuda ke pichhe chhup jata hun main
pareshan dhup karti hai mujhe
shikayat chand se karta hun main


bahut kuchh kahna padta ho jahan
wahan par kuchh nahin kahta hun main
mana legi use ma'lum hai
abhi sach-much nahin rutha hun main


76114 viewsghazalEnglish