yahi bas ek dua mangna nahin aata wafa ke badle wafa mangna nahin aata hamara kaam mohabbat se pesh aana hai kisi ka nam pata mangna nahin aata daricha khol diya hai ghutan se bachne ko magar zaban se hawa mangna nahin aata kahin mile to ye kahna mere masiha se mariz-e-gham ko dawa mangna nahin aata ye khamushi koi tufan zarur laegi gharib chup hain to kya mangna nahin aata zaruraton ke siwa bhi zarur milta magar zaruraton se siwa mangna nahin aata hazar bar kaha dil se mang le kuchh to yahi jawab mila mangna nahin aata hamesha khair ke talib hain hum hamein 'alam' tilism-e-hosh-ruba mangna nahin aata