yahi hai ishq ka anjam shahr mein tere

By afsar-deccaniJanuary 1, 2024
yahi hai 'ishq ka anjam shahr mein tere
ki ho gaya hun main badnam shahr mein tere
tere firaq mein likkhi thi jo ghazal main ne
hui hai aaj wo nilam shahr mein tere


guzar gaya hai mera din khuda khuda kar ke
kategi kaise meri sham shahr mein tere
chhupa liye tere daman ke dagh aur dhabbe
laga ke apne pe ilzam shahr mein tere


hamari duniya mein din bhi hai raat ki manind
ki chand nikla sar-e-sham shahr mein tere
misal-e-aina raushan hun sari duniya mein
na aaya phir bhi kisi kaam shahr mein tere


adab ki bazm mein gumnam to nahin 'afsar'
suna hai sab ne mera nam shahr mein tere
31602 viewsghazalEnglish