yahi to gham hai wo shair na wo siyana tha jahan pe ungliyan katti thin sar katana tha mujhe bhi abr kisi koh par ganwa deta main bach gaya ki samundar ka main khazana tha tamam log jo wahshi bane the aaqil the wo ek shakhs jo khamosh tha diwana tha pata chala ye hawaon ko sar patakne par main reg-e-dasht na tha sang-e-sad-zamana tha tamam sabza-o-gul the mulazim-e-mausam kali ka farz hi gulshan mein muskurana tha mere liye na ye masti na aagahi hai haram mujhi ko bazm se uthna tha sar uthana tha wo mere haal se mujh ko parakh rahe the 'hasan' meri nigah mein guzra hua zamana tha