yak dast-e-fitna barpa humne jahan mein dekha

By abdul-rahman-ehsan-dehlviApril 24, 2024
yak dast-e-fitna barpa hum ne jahan mein dekha
mansur ko sarasar darul-aman mein dekha
aatish jigar mein gahe gah shoala jaan mein dekha
allah hum ne kya kya ishq-e-butan mein dekha


kis shoala-ru ki ulfat jun barq dil mein chamki
aatish ka yak zubana kaam-o-dahan mein dekha
hum ko kafan usi ka lazim hai mah-ru yan
ulfat ka partaw-asa hum ne katan mein dekha


jo hain khare unhin ko das khotiyan sunae
hum ne naya saliqa us naujawan mein dekha
ai ahl-e-dil khuda-e-dil ne yahan dikhae
dilli mein tha jo dekha ku-e-butan mein dekha


us khak-e-pa ka surma aankhon mein jab na dekha
kya khak aa ke hum ne is khak-dan mein dekha
kya rang ashk-e-khunin furqat mein hain dikhati
rang-e-bahaar hum ne fasl-e-khizan mein dekha


aansu sada rawan hain apna hai ab ye naqsha
yarab ye kis ka naqsha aab-e-rawan mein dekha
tujh ko kabhi na dekha dekha jahan sara
garche tujhi ko main ne sare jahan mein dekha


jitne hain ahl-e-jauhar un ko zamin na pawe
hum ne gharaz ye jauhar is aasman mein dekha
shohra hai lucknow ka lekin nauz-billah
momin jo wan hain un ko kufr-e-nihan mein dekha


dilli ke hinduon mein hain ahl-e-dil hazaron
dilli sa shahr kis ne hindostan mein dekha
do din se main juda hun us mu kamar se 'ehsan'
ek sau tarah ka sadma is darmiyan mein dekha


47677 viewsghazalEnglish