yak do jam aur bhi de tu saqi na rahe dil mein aarzu saqi meri taskin na hogi saghar se munh se mere laga subu saqi raat o din mai-kashon ko rahti hai teri hi yaad o justuju saqi rind-e-muflis ko de hai zyaad sharab bhai mujh ko teri ye khu saqi aah tujh bin hain zar-o-nalan hum bhuli masti ki haw-hu saqi shisha-e-mai ki tarah se hum aaj rakhte hain girya dar-gulu saqi kisi ke aage misl-e-saghar hum late hain dast-e-arzu saqi late hain misl-e-shisha-e-baada tere hi aage sarfaru saqi ro nahin us ko bazm-e-mastan mein jis ke tain tu na dewe ru saqi de 'jahandar' ko wo mai jis ka howe gul ka sa rang-o-bu saqi