yak-zarra-e-zamin nahin be-kar bagh ka yan jada bhi fatila hai lale ke dagh ka be-mai kise hai taqat-e-ashob-e-agahi khincha hai ijz-e-hausla ne khat ayagh ka bulbul ke karobar pe hain khanda-ha-e-gul kahte hain jis ko ishq khalal hai dimagh ka taza nahin hai nashsha-e-fikr-e-sukhan mujhe tiryaki-e-qadim hun dud-e-charagh ka sau bar band-e-ishq se aazad hum hue par kya karen ki dil hi adu hai faragh ka be-khun-e-dil hai chashm mein mauj-e-nigah ghubar ye mai-kada kharab hai mai ke suragh ka bagh-e-shagufta tera bisat-e-nashat-e-dil abr-e-bahaar khum-kada kis ke dimagh ka? josh-e-bahaar-e-kulfat-e-nazzara hai 'asad' hai abr pamba rauzan-e-diwaar-e-bagh ka