yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage

By j.-p.-saeedNovember 1, 2020
yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage
wo mehrban hai lekin bala-e-jaan hi lage
hum itni martaba guzre hain aazmaish se
wo sidhi baat bhi puchhe to imtihan hi lage


taras gae hain ki khul kar kisi se baat karen
har aashna hamein ghairon ka raazdan hi lage
ho jaise kaifiyat-e-dil ka aaina manzar
wo ham-safar ho to sahra bhi gulistan hi lage


main jaise markazi kirdar hun kahani ka
koi fasana ho wo meri dastan hi lage
tere khayal se nisbat ka ab ye aalam hai
kahin jhukaun jabin tera aastan hi lage


mere watan ke sabhi log chand-tare hain
zamin us ki mujhe jaise aasman hi lage
'said' baad-e-samaat nawa-e-mutrib hai
khushi ka git bhi ab naghma-e-fughan hi lage


66122 viewsghazalEnglish