yaqin KHud pe itna baDi baat hai

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
yaqin khud pe itna badi baat hai
akele tamasha badi baat hai
hazaron se rishta nibhate hue
kisi ka na hona badi baat hai


hamein yun bhi tum yaad rah jaoge
barabar ka dhoka badi baat hai
shikari se bachne mein kaisa kamal
nishane pe rahna badi baat hai


tere be-murawwat labon se koi
bahana bhi sunna badi baat hai
bada kaam dhaaras bandhana nahin
barabar se rona badi baat hai


thikane lagaun kahan khak ko
hawa ka ye kahna badi baat hai
67492 viewsghazalEnglish