yar aaya hai ahwal-e-dil-e-zar dikhao

By rind-lakhnaviNovember 14, 2020
yar aaya hai ahwal-e-dil-e-zar dikhao
isa ko zara haalat-e-bimar dikhao
aa jao bas ab rah na ai yar dikhao
mushtaq hun mushtaq hun didar dikhao


aalam hai so hai hijr mein yan josh-e-junun ka
sahra mujhe dikhlao ki gulzar dikhao
farda-e-qayamat ka na iqrar karo jaan
lo hashr sahi aaj hi didar dikhao


aashiq hain bahut ek to chun kar koi mujh sa
pushte ki tarah pusht-ba-diwar dikhao
aalam nazar aa jae bahaar aur khizan ka
hum zard hon tum phul se rukhsar dikhao


talwar lagao mujhe goli se na maro
til dhank lo aur abru-e-khamdar dikhao
har dam mutaqazi hai yahi hasrat-e-didar
phir ek nazar jalwa-e-dildar dikhao


farmate ho aashiq hain mere tujh se hazaron
ai jaan ziyaada nahin do-chaar dikhao
ishq abru o mizhgan ka buto sath hai dam ke
khanjar mujhe dikhlao ki talwar dikhao


main qabr se bhi 'rind' yahi kahta uthunga
mushtaq hun mushtaq hun didar dikhao
81606 viewsghazalEnglish