yar ka kirdar aaina nibha sakta nahin

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
yar ka kirdar aaina nibha sakta nahin
ye tamasha dekh sakta hai dikha sakta nahin
itni baaten kar chuka hun ek khayali yar ki
'ishq pahla hai magar pahla bata sakta nahin


sab kitabon mein rakhe wo phul ab bekar hain
main purani dhup mein jin ko khila sakta nahin
ab bahut mushkil hai pichha chhutna mujh se tera
bewafa hona bhi tere kaam aa sakta nahin


siskiyon mein sath de sakta hai rona ho jise
qahqaha us ke liye jo muskura sakta nahin
teri jitni pine wale to bahut honge magar
tere jaisa koi 'shaariq' ladkhada sakta nahin


59421 viewsghazalEnglish