yar ke rukh ne kabhi itna na hairan kiya fikr-e-sar-e-zulf ne jaisa pareshan kiya aisa kisi se junun dast-e-gareban na ho chaak-e-gareban ka bhi chaak gareban kiya kar chuka tha zahr-e-rashk parde mein kar apna lek tegh-e-judai ne zor kar-e-numayan kiya ishq tere hath se tu hi bata kya karen wasl mein hairan kiya hijr mein giryan kiya aish-o-gham-e-bagh-e-dahr wahm hai tuk gul ko dekh chaak kiya tu kahe main kahun khandan kiya us ka charagh-e-murad rahiyo farozan mudam daghon se dil ko mere jis ne charaghan kiya ishq ki kya tarbiyat tujh se kahun ai 'raza' aah ko nala kiya nale ko afghan kiya