yar ko hum ne ja-ba-ja dekha kahin zahir kahin chhupa dekha kahin mumkin hua kahin wajib kahin fani kahin baqa dekha did apne ki thi use khwahish aap ko har tarah bana dekha surat-e-gul mein khil-khila ke hansa shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha shama ho kar ke aur parwana aap ko aap mein jala dekha kar ke dawa kahin anal-haq ka bar-sar-e-dar wo khincha dekha tha wo bartar shuma-o-ma se niyaz phir wahi ab shuma-o-ma dekha kahin hai baadshah-e-takht-nashin kahin kasa liye gada dekha kahin aabid bana kahin zahid kahin rindon ka peshwa dekha kahin wo dar-libas-e-mashuqan bar-sar-e-naz aur ada dekha kahin aashiq 'niyaz' ki surat sina-biryan o dil-jala dekha