yar tha gulzar tha mai thi faza thi main na tha

yar tha gulzar tha mai thi faza thi main na tha
laeq-e-pa-bos-e-jaanan kya hina thi main na tha

hath kyon bandhe mere chhalla agar chori gaya
ye sarapa shokhi-e-duzd-e-hina thi main na tha

be-khudi mein le liya bosa khata kije muaf
ye dil-e-betab ki sari khata thi main na tha

hae saqi ye ho saman aur aashiq wan na ho
yar tha sabza tha badli thi hawa thi main na tha

main sisakta rah gaya aur mar gae farhad-o-qais
kya unhin donon ke hisse mein qaza thi main na tha

main ne puchha kya hua wo aap ka husn-o-shabab
hans ke bola wo sanam shan-e-khuda thi main na tha

ai 'zafar' ye dil pe mere dagh kaisa rah gaya
khana-bagh-e-yar mein khalq-e-khuda thi main na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close