yar tum dil dukha rahi ho kya

By parvez-shaikhJanuary 4, 2024
yar tum dil dukha rahi ho kya
bol do dur ja rahi ho kya
yun khamoshi mujhe dikha kar tum
zulm par zulm dah rahi ho kya


meri ghurbat ko jaan kar jaanan
jaan mujh se chhuda rahi ho kya
dil mein khwahish hai dosti ki magar
dushmani tum nibha rahi ho kya


rizq allah de raha hai hamein
baat us ki bhula rahi ho kya
kya hai 'parwez' ki khata ye bata
be-sabab aazma rahi ho kya


26954 viewsghazalEnglish