yaro har gham gham-e-yaran hai qarib aa jao pyaro phir fasl-e-bahaaran hai qarib aa jao dur ho kar bhi sunin tum ne hikayat-e-wafa qurb mein bhi wahi unwan hai qarib aa jao hum mohabbat ke musafir hain kahin dekh na len dhat mein gardish-e-dauran hai qarib aa jao jaan pyari hai ki tum bhi ho meri jaan ke sath gham-e-jaan hi gham-e-jaanan hai qarib aa jao aaj duniya ko nahin apne ghamon se fursat aaj mil baithna aasan hai qarib aa jao kis murawwat pe zamane se daren dur rahen aao allah nigahban hai qarib aa jao mere hi pahlu-e-sozan mein sakun mumkin hai chaar-su gardish-e-dauran hai qarib aa jao jao ab jao ki wo ahd-e-wafa khatm hua jab bhi dekho ki phir imkan hai qarib aa jao main zamane ki kadi dhup ka mara hun 'zafar' tum kahan ho chamanistan hai qarib aa jao