yas bhi hai hasrat bhi aashiqi se wabasta saikdon hain hangame zindagi se wabasta be-gharz zamane mein kaun kis se milta hai dushmani bhi hoti hai dosti se wabasta wo abhi ujalon ki qadr kar nahin sakte zindagi rahi jin ki tirgi se wabasta soch kar yahi har-dam main udas rahta hun gham hazar hote hain ek khushi se wabasta aaj jo bhi insan hai halqa-e-junun mein hai kaun hai zamane mein aagahi se wabasta kaise kaise ahl-e-dil ho gae hain diwane ek junun ka aalam hai aashiqi se wabasta lutf-e-zindagi 'ahmad' khatm ho gaya hota gham agar ye na hote zindagi se wabasta