yas-o-hasrat ki zarb kari hai
By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
yas-o-hasrat ki zarb kari hai
har tabassum mein be-qarari hai
waqt se koi bach nahin sakta
waqt sab se bada shikari hai
ek mohabbat pe zo'm tha hum ko
in dinon ye bhi karobari hai
zabt kam hai na kam gham-e-dauran
bar ke sath burdbari hai
'ishq apna mizaj rakhta hai
be-khudi hai na hoshiyari hai
lene wala yahan tawangar hai
dene wala yahan bhikari hai
dhul udne lagi hai aankhon mein
shayad ab aansuon ki bari hai
tang-dasti mein aap ki yaaden
qaht mein jaise bund bari hai
kis ne toda hai dil tera 'irfan'
kyon tabi'at mein inkisari hai
har tabassum mein be-qarari hai
waqt se koi bach nahin sakta
waqt sab se bada shikari hai
ek mohabbat pe zo'm tha hum ko
in dinon ye bhi karobari hai
zabt kam hai na kam gham-e-dauran
bar ke sath burdbari hai
'ishq apna mizaj rakhta hai
be-khudi hai na hoshiyari hai
lene wala yahan tawangar hai
dene wala yahan bhikari hai
dhul udne lagi hai aankhon mein
shayad ab aansuon ki bari hai
tang-dasti mein aap ki yaaden
qaht mein jaise bund bari hai
kis ne toda hai dil tera 'irfan'
kyon tabi'at mein inkisari hai
61127 viewsghazal • English