ye aabru ye shan ye tewar bacha ke rakh

By anwar-kamal-anwarJuly 10, 2021
ye aabru ye shan ye tewar bacha ke rakh
dil ko tu khwahishon se qalandar bacha ke rakh
mahlon ki fikr chhod ki barsat hai qarib
aandhi se apna phus ka chhappar bacha ke rakh


chaaron taraf hai aag chaman mein lagi hui
apna wajud mom ke paikar bacha ke rakh
kangal kar na de tujhe qatron ki parwarish
kuchh apne pas bhi to samundar bacha ke rakh


mujh par na khatm hoga sadaqat ka silsila
tarkash mein apne tir sitamgar bacha ke rakh
badli hui hai waqt ki raftar aaj-kal
zauq-e-safar ko waqt ke rahbar bacha ke rakh


parkhega waqt tujh ko kasauti pe bar bar
'anwar-kamal’ apne tu jauhar bacha ke rakh
19096 viewsghazalEnglish