ye aalam ab dhuen ka kar-khana lag raha hai barah-e-rast sanson par nishana lag raha hai hamare ahd ki haiwaniyat ka surkh qissa qurun-e-jahiliyat ka fasana lag raha hai charaghon ko muhayya kijiye suraj-panahi hawaon ka rawayya jarehana lag raha hai tera mamnun hun ai jazba-e-sahra-nawardi sulagti ret ka manzar suhana lag raha hai hamari waza-dari ko saraho chaarasazo naya zakhm-e-talluq bhi purana lag raha hai hum apne sabz-o-nam uslub ke mare hue hain naya lahja bhi ab hum ko purana lag raha hai kisi aahang-e-nau ki justuju mein hai musalsal ye mera dil jo be-tabl-o-tarana lag raha hai hazaron suraten hain munakis chehra-ba-chehra makan-e-shash-jihat aaina-khana lag raha hai hamein darkar hai ek dusre ka kasa-e-sar ba-zahir hum mein gahra dostana lag raha hai zamin ki gahri khamoshi nahin be-wajh 'jauhar' zamin mein dafn raazon ka khazana lag raha hai