ye ashk aankh mein kis justuju ke sath aae

ye ashk aankh mein kis justuju ke sath aae
ki tere zikr teri guftugu ke sath aae

main ek nakhl tha yak-rangi khizan ka asir
ye sare rang teri aarzu ke sath aae

jo kho gae the kahin umr ke dhundlakon mein
wo aks phir kisi aaina-ru ke sath aae

farogh-e-nasha-e-mai se bhi ji bahal na saka
bahut se gham the jo mauj-e-subu ke sath aae

gila na kar jo sar-e-shahr ju-e-khun hai rawan
ki inqalab jab aae lahu ke sath aae

gae to sirf mata-e-sukut le ke gae
jo is nagar mein badi haw-hu ke sath aae

'farasat' ahl-e-jahan ham-safar hain khushiyon ke
maqam-e-ranj talak kab kasu ke sath aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close