ye aur baat hai ki sahaara nahin bane

By nusrat-ateeq-gorakhpurJuly 2, 2022
ye aur baat hai ki sahaara nahin bane
lekin kisi ki rah ka kanta nahin bane
yaron ke hum ne aib chhupae hain barha
un ko bachaya khud bhi tamasha nahin bane


dushwar raston ka unhen tajraba nahin
manzil jo log ban gae rasta nahin bane
insan hi to ban nahin pae jo aham tha
waise to log banne ko kya kya nahin bane


tum se badi umid laga rakkhi thi magar
tum bhi to mere haq mein masiha nahin bane
'nusrat' wo hum se is liye naraaz hain ki hum
un ki bulai bhid ka hissa nahin bane


98157 viewsghazalEnglish