ye be-hisi ki zara bhi wo pesh-o-pas mein na tha

By mubarak-mungeriApril 24, 2021
ye be-hisi ki zara bhi wo pesh-o-pas mein na tha
asir jaise nasheman mein tha qafas mein na tha
shikast-e-husn gawara na thi mujhe warna
nahin ye baat ki wo meri dastaras mein na tha


bharam wafa ka khulus-e-niyaz ne rakkha
wagarna farq koi ishq aur hawas mein na tha
na adl ka tha taqaza na zulm ka ehsas
jo dad-khwah mein jazba tha dadras mein na tha


gul-o-saman ke sahaare khizan dar aai thi
asar bahaar-e-chaman ka to khar-o-khas mein na tha
husul-e-shauq mein majbur-e-kashmakash donon
asir tha wo ana ka dil apne bas mein na tha


kami thi us mein 'mubarak' na aur kuchh lekin
wo ek khulus tha jo mere ham-nafas mein na tha
51464 viewsghazalEnglish