ye be-kas-o-be-qarar chehre sadiyon ke ye sogwar chehre mitti mein pade damak rahe hain hiron ki tarah hazar chehre le ja ke inhen kahan sajaen ye bhuk ke shikar chehre africa-o-asia ki zinat ye nadir-e-rozgar chehre khoi hui azmaton ke waris kal raat ke yaadgar chehre ghaze se safed mai se rangin is daur ke daghdar chehre guzre hain nigah-o-dil se ho kar har tarah ke be-shumar chehre maghrur ana ke ghonsle mein baithe hue kam-ayar chehre qabil-e-iltifat aankhen na-qabil-e-e'tibar chehre in sab se hasin-tar hain lekin rindon ke gunahgar chehre