ye daDhiyan ye tilak dhaariyan nahin chaltin

By kaif-bhopaliNovember 3, 2020
ye dadhiyan ye tilak dhaariyan nahin chaltin
hamare ahd mein makkariyan nahin chaltin
qabile walon ke dil jodiye mere sardar
saron ko kat ke sardariyan nahin chaltin


bura na man agar yar kuchh bura kah de
dilon ke khel mein khuddariyan nahin chaltin
chhalak chhalak padin aankhon ki gagaren aksar
sambhal sambhal ke ye panhaariyan nahin chaltin


janab-e-'kaif' ye dilli hai 'mir' o 'ghaalib' ki
yahan kisi ki taraf-dariyan nahin chaltin
99326 viewsghazalEnglish