ye dastan-e-dil hai kya ho ada zaban se

ye dastan-e-dil hai kya ho ada zaban se
aansu tapak rahe hain lafzen milen kahan se

hai rabt do dilon ko be-rabti-e-bayan se
kuchh wo kahen nazar se kuchh hum kahen zaban se

ye rote rote hansna tartib-e-zikr-e-gham hai
aaya hun ibtida par chheda tha darmiyan se

hasil to zindagi ka thi zindagi yahin ki
ab main hun ek janaza uthwa do aastan se

is tul-e-khamushi ka zor-e-bayan bhi dekha
thi baat mere dil ki nikli teri zaban se

jab husn khud-numa hai aur ishq rakhna-afgan
is kashmakash mein parda niklega darmiyan se

maidan-e-imtihan mein ai be-gharaz mohabbat
dil ki zamin tu ne takra di aasman se

us raazdar-e-gham ki haalat na puchh jis ko
kahna to hai bahut kuchh mahrum hai zaban se

ai jazb-e-shauq-e-manzil mamnun-e-ghair kyun hon
khud rasta badal kar bichhda hun karwan se

har gam par thithakna har bar mud ke takna
o muskurane wale kya le chala yahan se

zahir fareb-e-wada phir e'tibar itna
wo likh gaya dilon par jo kah diya zaban se

aaankhon se baghban ki shoale nikle rahe hain
tinke dabae munh mein nikla hun aashiyan se

dil ka sakun ganwa kar hon aarzu pasheman
kuchh le ke rakh na chhoda kyun jins-e-raegan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close