ye dekh zindagi ke liye hai payam kya
By laiq-siddiqiJanuary 18, 2022
ye dekh zindagi ke liye hai payam kya
din kya hai raat kya hai sahar kya hai sham kya
manzil ki justuju hai to chalte chale chalo
ghurbat mein thodi der thahar kar qayam kya
jab nek aur bad mein na rah jae imtiyaz
hoga kisi ka aise mein phir ehtiram kya
aap apne dushmanon ko bhi dushman na jaaniye
pad jae kal unhin se khuda jaane kaam kya
insan apne aap ko pahchanta nahin
ye sochta nahin ki hai us ka maqam kya
duniya-e-zindagi mein musawat chahiye
is silsile mein shart-e-khawas-o-awam kya
duniya mein koi nam achhuta nahin raha
badloge apna nam to rakkhoge nam kya
jis haal mein bhi guzre guzar jaegi 'laiq'
thodi si zindagi ke liye ehtimam kya

10572 viewsghazal • English