ye dil jo dard-e-mohabbat se be-qarar nahin

By amjad-ali-ghaznawiOctober 2, 2021
ye dil jo dard-e-mohabbat se be-qarar nahin
wo subh-e-shauq nahin sham-e-intizar nahin
kisi nigah mein masti nahin khumar nahin
ye koi aur hain saqi ye baada-khwar nahin


tumhaari shakh-e-nasheman mein barg-o-bar nahin
bahaar mein bhi tumhaare liye bahaar nahin
gulon ki ghunchon ki pazhmurdagi se zahir hai
chaman mein aaj bhi haalat sazgar nahin


rawish rawish pe ye kante to khair kante hain
yahan to lala-o-gul ka bhi eatibar nahin
rah-e-khirad mein ba-har-gam lakh kante hain
junun ki rah mein hail ye khar-zar nahin


tumhaara dast-e-junun kya abhi nahin uttha
tayyunat ke parde jo tar tar nahin
ajib haal hai is gulitan-e-hasti ka
kabhi bahaar hai is mein kabhi bahaar nahin


wo dusron ke liye kya banenge chashma-e-faiz
jo aap apne gunahon pe sharmsar nahin
ye sang-o-khisht jo hon mo'atabar to hon lekin
is aadmi ka bahar-haal eatibar nahin


ye aaj-kal ki bahaaren bhi ruh-farsa hain
wahin sukun hai ba-zahir jahan bahaar nahin
utha ke jam-o-subu khud undel lete hain
hamari bazm mein saqi ka intizar nahin


ye dekhte ho jo 'amjad' ko mai-kada-bar-dosh
wo mai-farosh hai mai-nosh-o-mai-gusar nahin
65913 viewsghazalEnglish