ye dil nahin nur ka hai shoala kisi ko is se zarar nahin hai misal barq-o-sharar hai lekin mizaj barq-o-sharar nahin hai hai ru-kash-e-aftab zarra baghair parda bila-wasila wahan lagai hai aankh dil ne jahan majal-e-nazar nahin hai haram se nikle talash-e-but mein buton se yaad-e-khuda pe bigdi gharaz hum aawara-e-wafa hain kahin hamara guzar nahin hai jo dekhne wale dekhte hain wo sunne walon se kya bataen nazar ko zauq-e-zaban nahin hai zaban ko zauq-e-nazar nahin hai azan ho naqus ya jaras ho muassar apni jagah pe sab hain magar jahan main pahunch gaya hun wahan kisi ka asar nahin hai wo nichi nazren thin dil ki talib wafa ne go jaan nazr kar di magar asar jo sawal mein tha jawab mein wo asar nahin hai sukhan mera kaif-e-dil hai 'natiq' wo qadr karte hain jo ho aashiq nahin hai ye falsafa kitabi ye iktisabi hunar nahin hai