ye ek din ka nahin tajraba hai barson ka
By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
ye ek din ka nahin tajraba hai barson ka
kabhi samajh mein na aaya khitab aankhon ka
huzur aap bhi to is qadar ziyaada hain
shumar kaun kare kam-nazar harifon ka
'adawaten hi sahi kuchh to ho 'ayan hum par
bahut hi sakht hai ye marhala hijabon ka
jo baat dil mein nahin thi zaban pe aai hai
gala na ghont de ye waqt ab dalilon ka

28627 viewsghazal • English