ye ek kaam bacha tha so wo bhi karne lage

By ahmar-nadeemNovember 10, 2024
ye ek kaam bacha tha so wo bhi karne lage
nafas nafas mein udasi ke jam bharne lage
abhi to in ko murattab hi kar rahe the hum
khayal safha-e-qirtas par bikharne lage


sitam-zarifi-e-dauran bhi ras aane lagi
ye kis ki zulf ke sae mein hum sanwarne lage
udas naslon ko darkar hai ek aur safar
rukh-e-sahar pe shabon ke nuqush ubharne lage


musafiran-e-taghayyur hain kaise sada mizaj
hayat-e-nau ki bashaarat pe kan dharne lage
bas itna qissa hai aankhon mein khwab aane ka
uthe sanbhal ke chale aur phir thaharne lage


51584 viewsghazalEnglish